Thursday, 29 November 2012

SHAHEED…



KOKH ME WATAN KI WO KHO GAYE ,WO KHO GAYE,
AURO KO NIND BANTKAR, WO SO GAYE,WO SO GAYE,
SHAIYYA PE MAUT KI BHI WO, HAR SAANS PAR JEETE RAHE,
JISMO KE GHAAV DHAANK KAR, HAR DARD KO PEETE RAHE,
JIYE TO TAAL THOK-KAR , WOSHATRU PAR SAWAR THE,
MARE TO UNKE TEZ SE, TAARE UJAAR HO GAYE,
KOKH ME WATAN KI WO KHO GAYE ,WO KHO GAYE…………

BHEED SE NIKAL KE JO, US BHEED KE LIYE LADE,
KHATRE ME JAAN DAALKAR, HAR JAAN KE LIYE LADE,
AANKHON ME JASHN JEET KA, HAR RAAT JO BUNTE RAHE,
HAR DIN KAFAN KO BANDHKAR, SHOOLO PE JO CHALTE RAHE,
BADHE TO IS TARAH KI SARI BANDISHE UKHAD DI,
THAME JAHAN TO VEERTA KE BEEJ KAI BO GAYE,
KOKH ME WATAN KI WO KHO GAYE ,WO KHO GAYE…………


DOR APNE PRIYAJANO KI TOD JO AAGE BADHE,
AANCHAL KO MAA KE BHOOLKAR, ANGAAR PAR CHAL PADE,
NIRAASH WAPAS LAUT GAYI, RAKHIYAAN JINKI KAI,
LAALIMA SINDOOR KI, MAANGON SE KAI UJAD GAI,
AANSU BHARI NIGAAH JO, PARDE KE PEECHE KAID THI,
JO ROYI TO SAMUDRA KE UFAAN TAAR HO GAYE,
KOKH ME WATAN KI WO KHO GAYE ,WO KHO GAYE…………


JINKE TEZ SHORYA KO, HARA SAKI NA MAUT HAI,
JWALA JINKI VEERTA KI, ANT TAK JWALANT HAI,
JO JHEL HAR PRAHAR KO,FAULAD SE DATE RAHE,
BHALE GIRE UTHE MAGAR, WO SHAAN SE KHADE RAHE,
JALE TO AANKH ME WO SABKI, ROSHNI BHARTE RAHE,
BUJHE TO AASMAAN KE TAARE HAZAAR SO GAYE,
KOKH ME WATAN KI WO KHO GAYE ,WO KHO GAYE…………



Saturday, 17 November 2012

TAMASHA


KYA KHOOB TAMASHA BANA RAHA,EK AADAM EK INSAAN KA ,
HAR HAAL BECH KAR KAMA RAHA, EK AADAM EK INSAAN KA,
KHUSHI KISI KI BANI KHABAR , BIK RAHA KISI KA DARD KAHI,
ASHKO PE KISI K DAAM LAGE, ASMAT KE DAAG  BAT RAHE KAHI,
CHAND PANKTI BAN KAR UCHAL RAHA, ANG ANG SAMMAN KA,
KYA KHOOB TAMASHA BANA RAHA……..

KOI NYAY MANGTA GUZAR GAYA, KOI JEET RAHA HAR BAZI HAI,
CHARCHA ME KISI KA JANM HAI TO,KAL MAUT KA PALDA BHARI HAI,
TUL RAHE KISI KE ZAKHM KAHI, KOI BECH KISI KI HAAR RAHA,
LUT GAYA KISI KA GHAR AANGAN, BAS PAISO KA VYAPAAR RAHA,
TINKA TINKA UJAD GAYA JEEVAN KE ARMAAN KA,
KYA KHOOB TAMASHA BANA…………….

JUD RAHE KISI KE MEHAL BADE, FAT-TE KAPDO KE DHAAGO SE,
JAHAN PET PAL RAHA LOGON KA, LOGON KE TOOTE KHWAABO SE,
MARA NAHI INSAAN HAI PAR, GHUT GAYA HAI DIL ME DARD KAHI,
KAHNE KO JEETE TO HAI SAB, PAR UTHNE KO JAZBAAT NAI ,
DAFN HO GAYA GHUT GHUT KE, HAR RISHTA AB VISHWAAS KA,
KYA KHOOB TAMASHA BANA………………….