Monday 31 October 2011

diwali


Aaa gai diwali aao aaj fir ,milkar deep jalate hai ,
Bichdo k haanth pakadte hai, rootho ko punah manate hai,
Choot gaye wo rishte jo, jeevan k jatil thapedo se,
Bair bhulakar aao dobara , un rishto ko aaj nibhate hai,
Aaa gai diwali aao aaj  fir , milkar deep jalate hai ..

Har soyi ummeed ko fir, aao aaj jagate hai ,
Har ek toote khwab ko ham fir , jeevan me madwate hai ,
Ujad gaye jo ghar angan, prakriti k adbhut khelo se ,
Ek dooje se haanth mila ,un bhawno ko punah sajate hai ,
Aa gai diwali aao aaj fir, milkar deep jalate hai ..

Tam si kali  ki rato ko ,deepo  se roshan karte hai ,
Kori jeevan ki chadar ko , nit naye rango se bharte hai,
Toot gayi jo kadiya man ki, tez hawa ki,tez hawa k jhonko se ,
Jod jod in kadiyo ko ,man ki mala punah banate hai ,
Aa gai diwali aao aaj fir, milkar deep jalate hai ..
Aa gai diwali aao aaj fir , milkar deep jalate hai ..