Saturday 24 September 2011

Yaad


Jab yaad tumhari aati hai ,or dil ye bhar bhar jata hai,
Jab har aata jaata jhonka ,tera ehsaas karata hai ,
Har saaya tera lagta hai har khwaab tera ho jata hai ,
Haan ye sach hai aaj bhi dil kar yaad tumhe hi rota hai ,kar yaad tumhe muskata hai ………

Har subah sunehri hoti thi ,har raat tu mera hota tha,
Do dhadkan baatein karti thi,jab jahan ye sara sota tha,
Har ek aahat par aaj bhi man,tujhse milne ko ho aata hai ,
Haan ye sach hai aaj bhi dil kar yaad tumhe hi rota hai ,kar yaad tumhe muskata hai ………..

Har geet mujhe sehlate hai ,jo tumne kabhi sunaye the,
Me sirf tumhari,tumhari tum sirf mere ho,bol sada dohraye the,
Ek ek wo bol aaj kyu kaanto sa chub jata hai??
Haan ye sach hai aaj bhi dil kar yaad tumhe hi rota hai ,kar yaad tumhe muskata hai ………..

Tujhse milne ki khwahish me,har roz bahana hota tha ,
Na man kabu me rehta tha, na dil ka thikana hota tha,
Wo manzar in ankhon ko kyu aaj bhi nam kar jata hai??
Haan ye sach hai aaj bhi dil kar yaad tumhe hi rota hai ,kar yaad tumhe muskata hai ………..

Har shringar adhoora lagta hai ,jo tune kabhi nihara tha,
Wo aaj hua anjana hai ,jo kal tak sirf hamara tha,
Kyu teri tasveer k aage,man sajne ko lalchata hai ??
Haan ye sach hai aaj bhi dil kar yaad tumhe hi rota hai ,kar yaad tumhe muskata hai ………..

Wahi gagan hai ,wahi sadak hai ,ek saath tera hi choot gaya,
Kal tak to log virodhi the,lo aaj khuda bhi rooth gaya ,
Kyu aaj ye man eshwar se bhi ,kuch mangne se hichkata hai ??
Haan ye sach hai aaj bhi dil kar yaad tumhe hi rota hai ,kar yaad tumhe muskata hai ………..

Friday 9 September 2011

ZINDGI


HAR KADAM PE EK IMTIHAAN HAI ZINDGI,
HAR RANG SE BHARA EK SAMAA HAI ZINDGI,
KUCH CHOOT GAYA TUMSE , KUCH HO GAYA TUMHARA,
HAR EK DARD KI INTIHA HAI ZINDGI,
K HAR KADAM PE ...........................,


KABHI MUSKURAYE THE, HAM RO LIYE  KABHI ,
AAJ HAI KHADE AKELE KAL SAATH THE SABHI ,
EK SAATH K LIYE KADAM AAJ BHI RUKE HAI,
INTZAAR SE BHARI EK NIGAAH HAI ZINDGI ,
K HAR KADAM PE …………………………..,


HAM BHI KABHI CHALE THE , EK BHEED KO LIYE,
HAR SHAKS THA JUDA EK UMEED K LIYE ,
PEHCHAAN NA SAKE YE GUNAAH THA HAMARA ,
KHATAO SE BHARI EK KITAAB HAI ZINDGI,
K HAR KADAM PE …………………………….,


HAR EK SHAKL AAJ EK SAWAAL BAN GAI ,
TABAHIYA HAMARI EK MISAAL BAN GAI ,
HAR DARD EK MAZAAK AAJ BAN GAYA HAMARA ,
THOKRO SE BHARI EK RAAH HAI ZINDGI,
K HAR KADAM PE………………………………….,


DOR TOOTTI GAI , HAANTH CHOOTTE GAYE,
KABHI KHUSHI TO KABHI HAM ROOTHTE GAYE,
MAYOOS IN ANKHON SE HAR KHWAAB DHUL GAYA,
HAR ROZ EK NAYA DAAV HAI ZINDGI,
K HAR KADAM PE…………………………………………………,


AAJ KHUD KO HI MAI JAISE BHOOLNE LAGI,
JAWAAB IN PAHELIYO K BOOJHNE LAGI,
KHUD SE ME POOCHTI HU APNE ASTITWA KA PATA,
HAR KADI ME EK BADA SAWAAL HAI ZINDGI,
K HAR KADAM PE ………………………………………………,


HAR HAAR ME CHUPI EK SEEKH MIL GAI,
HAR DARD PE MUJHE AAJ JEET MIL GAI,
HAR JAWAAB HAI YAHAN TUM KHOJ TO KARO,
HAR SAWAAL ME CHUPA EK JAWAAB HAI ZINDGI,
K HAR KADAM PE……………………………………………,
 



   

Saturday 3 September 2011

Teachers are light


Teachers are torch,a guiding light,
To show us the path and make us bright,
They give us vision, they give us sight,
They teach us to walk,on what is right,

 They scold ,they shout ,they beat,they correct,
 They keep an eye, on our every act,
 on our every mistake,they are forced to punish us,
the only reason ,is that they love us,

words are less to do describe a teacher,
they show us the way to create our future,
teachers are parents ,teachers our god,
teachers and students make, an endless bond,

thank you, for what all you give,
I will never forget,as long as I live,
All through my life,let your blessings follow me,
World is so dark, I need you to see, I need you to see……….