Thursday 18 April 2013

TANHAI

raat kat-ti ahi akele or na din guzarta Hai,
manzar saath. ka tere palko par theherta Hai,
mauzudgi me Teri lamho ka mere katna,
aahat ko teri sunkar khud me mera simatna,
aankhon me tujhko bharke saawan barasta Hai,
raat kat-ti nahi akele or na din guzarta Hai,

tujh bin saans tak Lena nahi mujhko gawara h,
tere didaar ke khatir,khud ko yu sawara Hai,
tu door Hai mujhse pata khoob Hai mujhko,
bataye kon ab isko ye mera dil
bechara Hai,
lakh isko batoru me ye fir se ja bikharta hai,
raat kat-ti nahi akele or na din guzarta Hai,


chaya Hai tera chehra har waqt aankho par,
jhoole pyaar ke tere dale h dil ki shakho par,
talashe ab tujhe nazre kadam jab jab badau me,
nazara tera hi tera chaya Hai nigaho par,
nazar bhar dekhne tujhko ye mera dil tarasta h,
raat kat-ti nahi akele or na din guzarta Hai,