Tuesday 5 June 2012

ARCIS-THE RISING SYMBOL (ANTHEM)


bheed se hat ham ek huye ,ham kaam naya kar jayenge,
haanth mila ham badenge aage,sabko ham samjhayenge,
rang roop ka bhed bhula,jeevan ka raag sunayenge,
jo gire huye hai utha unhe.......
jo pichad gaye hai bada unhe....
ham ek-ek ka haanth thaam ,sabko jeena sikhlayenge,
ham "ARCIS" hai ham takat hai ,har soch nayi kar jayenge.....
har soch nayi kar jayenge .....

sundar hain apna desh bohat par ghaav kai wo jhel raha,
kai bachhe isketadap rahe, rishton me nahi koi mail raha ,
sasak rahi kai saanse hai , khuli hawa me jeene ko ,
jung lagi kai reeto se , jan kai jaano se khel raha,
nasoor koi banne se pehle , ham ghaav sabhi bhar jayenge ,
ham "ARCIS" hai ham takat hai ,har soch nayi kar jayenge.....
har soch nayi kar jayenge .....

aaj desh ki beti bhi ,beton jaisa pad sakti hai ,
Jhansi ki raani k jaise ,har mushkil se lad sakti hai,
Bahu betiyon ko ghar ki ham raah nayi dikhlayenge,
Har haq ka unko gyaan kara ,jeevan me unhe badayenge ,
ham "ARCIS" hai ham takat hai ,har soch nayi kar jayenge.....
har soch nayi kar jayenge .....

bachho se juda hai kal apna ,ye desh unhi se chalna hai ,
nanhe munhe hantho ko hi ,chehre pe roshni malna hai ,
jog hut kar saham gaya bachpan ,chand paiso ke abhaav tale,
na aaj hamara hoga tab ,na kal hamko kuch milna hai ,
choti choti aankhon ko ham udne ka khwaab dikhayenge,
ham "ARCIS" hai ham takat hai ,har soch nayi kar jayenge.....
har soch nayi kar jayenge .....

bhare huye vishwaas se ham , na diga sakega waqt hame ,
badenge aise josh se ham, rukne ki nahi koi chaah rahe ,
har soch badal do jeevan ki , jab neev nayi rakhni hi hai ,
ye desh bana ,parvesh bana ,har reet bani hamse hi hai ,
ghoom ghoom kar rahon me ,ham baat yahi dohrayenge,
ham "ARCIS" hai ham takat hai ,har soch nayi kar jayenge.....
har soch nayi kar jayenge .....


Saturday 2 June 2012

MAI KYU ITNI LACHAAR HOON MAA???

ME KYU ITNI LACHAAR HOON MAA??
MAI BHI TERI KOKH ME THI ,TUJHSE HI MAINE JANM LIYA,
MERI KOMAL HALCHAL KO BHI,TUNE THA  MEHSOOS KIYA,
TERI HI SAANSE MUJHME HAI ,TERE HANTHON NE MUJHE GARHA,
HAR ANSH MERA TUJHSE HAI MAA ,HAR ANG ME TERA RANG CHADA,
POORI TERI SI HI HOON  ……..
FIR ME KYU ITNI LACHAAR HOON MA….??

CHAATI SE LAG ME BADI HUI ,MAINE BHI TERA DOODH PIYA,
TERE AANCHAL KI CHAAV TALE ,MAINE HAR SUKH THA DHOOND LIYA,
HASTI ME KHIL UTH-TI THI ,TERE KADMO AAHAT SE,
GHUTNO K BAL ME DAUD LAGATI ,TERI PAYAL KI CHAN-CHAN SE,
HAR  HARKAT TUJHSE THI MERI …….
FIR ME KYU ITNI LACHAAR HOON MAA??

BABA KI UNGLI KO THAME ,RAAH MUJHE TAY KARNI HAI,
DUNIYA BHAR KE RANGO SE,JEEVAN KI CHADAR RANGNI HAI,
TERE HAAR EK KHWAAB KO MAA ,ME BHI POORA  KAR SAKTI HOON,
APNI LAAJ K KHATIR MAA, DUNIYA BHAR SE LAD SAKTI HOON,
HIMMAT ME NAHI KOI KAMI MERI………..
FIR ME KYU ITNI LACHAAR HOON MAA??

ROZ SUBAH BHAIYA KE JAISE ,ME BHI PADNE KO JAUNGI,
CHAUKI BELAN KA SAATH CHOD,MAI BHI AB KALAM UTHAUNGI,
MERE NAZUK KANDHO PAR MAA,MEHENGE RISHTO KA BOJH NA RAKH,
MUJHE BYAHNE SE PEHLE, MERE TAN MAN KA HAAL PARAKH,
HAR AAH MERI TU SUN PAYI………….
FIR ME KYU ITNI LACHAAR HOON MAA……..??
ME KYU ITNI LACHAAR HOON MA…………….??
YU IT