Sunday 10 February 2013

SAMARPAN


Jinse roop swaroop mila,or jag duniya ka gyaan hai,
Jinke haanthon se rachi gayi,or paya jeevan daan hai,
Janm se lekar karm talak,raahon me jo saath chale,
Chote se lekar bade kadam tak,har  haal me mere saath badhe,
Jinse khud ki pehchaan mili,or mile samoochit gyaan hai,
Un maat pita ke charno me arpit mera sammaan  hai………..

Huye safal ya gire kabhi,kandhon par jinka haanth raha,
Khushiya sab bhar di jholi me,chup hokar khud sab dard saha,
Koi dukh hamko na chu paye, wo raahon me yu khade rahe,
Huye dakhal kai rishton me, lekin wo fir bhi, ade rahe,
Jinse khud ko paa payi hoon, or jo mera wardaan hai,
Un maat pita ke charno me arpit mera sammaan  hai………..

Khushiyon me jinko khushi mili, dukh me aankhen jinki chalki,
Bin bole hi khoob samajhte hai, jo baatein meri such dukh ki,
Aafat se lekar raahat tak, jo shakl meri pad lete hai,
Hain khoob parakhte sach ko par, har jhoot mera sun lete hai,
Vishwaas bhara dil me jinke, mujhse jinka abhimaan hai,
Un maat pita ke charno me arpit mera sammaan  hai………..