Tuesday 18 December 2012

YAADEIN


Chhod chale ham bachpan ko, un galiyon  me us aangan me,
Pedo ki chaya garmi me, baarish ki boonde saawan me,
Haste gaate un lamho ki, bas dhundli si kuch yaadein hai,
Tez shor me jeevan ke, khamosh hui kai baate hai,
Beet gaye kai arse hai, sukh se raato ki neend liye,
Sujjhe jeevan ko bhool ke ham, bad chale ulajhte yauvan me,
Chhod chale ham bachpan ko……………

Kab chhoot gaye wo khel kood, thodi bhi na bhanak hui,
Jaane kab sapne badal gaye, jane kab raahein badal gai,
Kab jeevan par  likh baithe ham, yu kagaz par likhte likhte,
Door nikal gaye sabse kab, jane yu chalte chalte,
Jab aankh khuli to paya khud ko, behti lehro ke jhonko me,
Kuch lamhe beete kal ke hai, kuch aane wale jeevan ke,
Chhod chale ham bachpan ko……………

Jab chot lagi kai seene me, tab rishto ki pehchaan hui,
Khud thokar khane par jana, ab jeevan ki shuruwaat hui,
Ab hasne ko ji karta hai, un bematlab ke jhagdo par,
Girte hain aansu pyaar bhare, jab mil na paate hai kshan bhar,
Dekh rahi ab aankhein hai, sab rang suhane jeevan ke,
Bad chale bichadti yaadon ko, ab bharkar apne daman me,
Chhod chale ham bachpan ko……………