Monday 27 February 2012

SHAKL

Shakl par naaz tum kar lo,magar wo kal kahan hogi ?
Sanvara hai jise shiddat se ,fir wo baat kab hogi?
Ye rang chamdi ka ,to bas do din ki shohrat hai,
Dhali jo umra ki parten ,suhani raat kab hogi??
Shakl par naaz tum kar lo…………….

Saja lo lakh tum khud ko,zamane bhar ki daulat se,
Chupa lo rooh ko apni ,dikhawat ke mukhaute se,
Khuredoge kabhi jab baith kar ,khud ki tabahi ko,
Ki gai khatao se ,tumhari baat tab hogi,
Shakl par naaz tum kar lo………………..

Parakh lo man ki soorat ko,na dhalti hai na ghat-ti hai,
Umar ke har padaw par,ye sajti hai sanwarti hai,
Ise tum  pyaar ke ras se,sada hi seench ke rakhna,
Har mod par lab par tere ,muskaan tab hogi,
Shakl par naaz tum kar lo , magar wok al kahan hogi,





Wednesday 15 February 2012

TO CHAL RAHA ANANT HAI


              
TU CHAL RAHA ANANT HAI, TU CHAL RAHA ANANT HAI,
K JWALA TERI JEET KI, YE JAL RAHI AKHAND HAI,
APNE TEZ WAR SE, TU SHATRU PE PRAHAR KAR,
APNI ATULYA TAKATON KA, KHUL KE TU PRASAR KAR,
PARVAT BHI TERI CHOT SE, AAJ KHAND KHAND HAI,
K CHAL RAHA ANANT HAI, TU CHAL RAHA ANANT HAI ………………………………

KADAM JO AAJ HAI BADHE, RUK NA PAYE YE KABHI,
JO SHEESH SHAAN SE UTHE, JHUKNE NA PAYE KABHI,
KADAM BADHA TU JOSH SE, JAHAAN CHALEGA SAATH ME,
FIR DEKH TERI JEET KA, SWAROOP HI PRACHAND HAI,
K CHAL RAHA ANANT HAI, TU CHAL RAHA ANANT HAI………………………..

TU TEZ SE UDIT HUA, TU DESH KA SAPOOT HAI,
LAHOO JO DHOOL ME SANA HAI, USKA TU SABOOT HAI,
BHALE MAHAAN YUDDH ME, TU SHWET SHANTI DOOT HAI,
PAR UTHI JO AANKH IS TARAF, TO MRITYU HI TO DAND HAI,
K CHAL RAHA ANANT HAAI, TU CHAL RAHA ANANT HAI………………….

POORVA CHALKE TUNE JO, MASHAAL AAJ THAAM LI,
KAR SHAPATH KI BHAY KI TUNE, CHADREN UTAR DI,
BADHA KADAM YU TAKATON SE, RASTE UKHAD DE,
JO RUK GAYE SEHAM KE, WO KAYRON KE JHUND HAI,
K CHAL RAHA ANANT HAI, TU CHAL RAHA ANANT HAI…………………