Wednesday 15 February 2012

TO CHAL RAHA ANANT HAI


              
TU CHAL RAHA ANANT HAI, TU CHAL RAHA ANANT HAI,
K JWALA TERI JEET KI, YE JAL RAHI AKHAND HAI,
APNE TEZ WAR SE, TU SHATRU PE PRAHAR KAR,
APNI ATULYA TAKATON KA, KHUL KE TU PRASAR KAR,
PARVAT BHI TERI CHOT SE, AAJ KHAND KHAND HAI,
K CHAL RAHA ANANT HAI, TU CHAL RAHA ANANT HAI ………………………………

KADAM JO AAJ HAI BADHE, RUK NA PAYE YE KABHI,
JO SHEESH SHAAN SE UTHE, JHUKNE NA PAYE KABHI,
KADAM BADHA TU JOSH SE, JAHAAN CHALEGA SAATH ME,
FIR DEKH TERI JEET KA, SWAROOP HI PRACHAND HAI,
K CHAL RAHA ANANT HAI, TU CHAL RAHA ANANT HAI………………………..

TU TEZ SE UDIT HUA, TU DESH KA SAPOOT HAI,
LAHOO JO DHOOL ME SANA HAI, USKA TU SABOOT HAI,
BHALE MAHAAN YUDDH ME, TU SHWET SHANTI DOOT HAI,
PAR UTHI JO AANKH IS TARAF, TO MRITYU HI TO DAND HAI,
K CHAL RAHA ANANT HAAI, TU CHAL RAHA ANANT HAI………………….

POORVA CHALKE TUNE JO, MASHAAL AAJ THAAM LI,
KAR SHAPATH KI BHAY KI TUNE, CHADREN UTAR DI,
BADHA KADAM YU TAKATON SE, RASTE UKHAD DE,
JO RUK GAYE SEHAM KE, WO KAYRON KE JHUND HAI,
K CHAL RAHA ANANT HAI, TU CHAL RAHA ANANT HAI…………………



1 comment:

  1. grt poem... Arohi, am proud of you..
    very motivational, remarkable creation

    ReplyDelete