Friday 6 July 2012

KADAM


 Kyu ruk rahe hai kadam,rahon ko dekhkar??
Kyu ham behak rahe ,hazaro ko dekhkar??
Jab khud chuni hai raah to, fir kyu viraam hai??
Faisle par tere kyu ,auro ka daav hai ??
Maddham hai teri chaal kyu, pyaaron ko dekhkar??
Kyu ruk rahe……….   

Tere hi haanthon me to , teri kamaan hai ,
Khushiyon bhari ye raah fir kyu, soonsaan hai??
Mana teri is raah par ,kuch choot jayenge,
Par tujhko  parakhne ko, duniya tamaam hai,
Fir aankh teri nam hai kyu, dararo ko dekhkar??
Kyu ruk rahe……….


Kar le tera jo faisla hai, aaankh moond kar,
Manzil kya apni paayega, yu pooch pooch kar??
Har koi tujhko jeene k hunar sikhayega,

Fir teri hare ek soch par, mohar lagayega,

Kya tab badega raah par?? Auro ki soch par,
Kyu ruk rahe……….


Rishton ki dor aaj kyu , kadmo me tang hai??
Chaahaton par sabki kyu ,tu aaj bhang hai??
Kai bhed tujhe raah se, dagmag hilayenge,
Har pag tera marod kar, wo muskurayenge,
Kar de fana har khauff ko, aankhen tarerkar,
Kyu ruk rahe……….


Aankhon me jo manzil ka tune, khwaab bhar liya,
Aadha safar to jeet ka hai ,paar kar liya,
Har mod par kadamo ko ab , ponchna kyu hai??
Kshad bhar bhi ho to, chaahato ko rokna kyu hai ??
Kyu ferna nazar ko ab, kinaron ko dekh kar??
Kyu ruk rahe……….



1 comment: