Thursday 29 November 2012

SHAHEED…



KOKH ME WATAN KI WO KHO GAYE ,WO KHO GAYE,
AURO KO NIND BANTKAR, WO SO GAYE,WO SO GAYE,
SHAIYYA PE MAUT KI BHI WO, HAR SAANS PAR JEETE RAHE,
JISMO KE GHAAV DHAANK KAR, HAR DARD KO PEETE RAHE,
JIYE TO TAAL THOK-KAR , WOSHATRU PAR SAWAR THE,
MARE TO UNKE TEZ SE, TAARE UJAAR HO GAYE,
KOKH ME WATAN KI WO KHO GAYE ,WO KHO GAYE…………

BHEED SE NIKAL KE JO, US BHEED KE LIYE LADE,
KHATRE ME JAAN DAALKAR, HAR JAAN KE LIYE LADE,
AANKHON ME JASHN JEET KA, HAR RAAT JO BUNTE RAHE,
HAR DIN KAFAN KO BANDHKAR, SHOOLO PE JO CHALTE RAHE,
BADHE TO IS TARAH KI SARI BANDISHE UKHAD DI,
THAME JAHAN TO VEERTA KE BEEJ KAI BO GAYE,
KOKH ME WATAN KI WO KHO GAYE ,WO KHO GAYE…………


DOR APNE PRIYAJANO KI TOD JO AAGE BADHE,
AANCHAL KO MAA KE BHOOLKAR, ANGAAR PAR CHAL PADE,
NIRAASH WAPAS LAUT GAYI, RAKHIYAAN JINKI KAI,
LAALIMA SINDOOR KI, MAANGON SE KAI UJAD GAI,
AANSU BHARI NIGAAH JO, PARDE KE PEECHE KAID THI,
JO ROYI TO SAMUDRA KE UFAAN TAAR HO GAYE,
KOKH ME WATAN KI WO KHO GAYE ,WO KHO GAYE…………


JINKE TEZ SHORYA KO, HARA SAKI NA MAUT HAI,
JWALA JINKI VEERTA KI, ANT TAK JWALANT HAI,
JO JHEL HAR PRAHAR KO,FAULAD SE DATE RAHE,
BHALE GIRE UTHE MAGAR, WO SHAAN SE KHADE RAHE,
JALE TO AANKH ME WO SABKI, ROSHNI BHARTE RAHE,
BUJHE TO AASMAAN KE TAARE HAZAAR SO GAYE,
KOKH ME WATAN KI WO KHO GAYE ,WO KHO GAYE…………



No comments:

Post a Comment