Sunday 28 August 2011

aao bharat nirman kare

aao bharat nirman kare ,
daman me nit naye rang bhare,
na koi yaha ab bhrasht rahe ,
na koi yaha vidhrohi ho ,
na koi yaha bhooka soye,
na koi yaha ab sehma ho ,
sab prem ekta ki rah chale,
aao bharat nirman kare .........


bharat jo sone ki chidiya ho ,
shanti ka jahan basera ho ,
har manushya manushya se pyaar kare,
bhai na bhai par war kare,
aur koi na swyam ka patan kare ,
aisa bharat nirman kare ,
aao bharat nirman kare .......


mana safar asaan nahi ,
nav nirman koi khilwad nahi ,
par desh hamara tadap raha ,
dooja koi upchaar nahi ,
jan jan ki takat jud jayegi,
khud se to ham shuruwat kare ,
aao bharat nirman kare ...........

e desh lootne walo sun lo ,
ham jag gaye ham jaag gaye ,
ab koi yaha lachaar nahi ,
ab koi yaha kamjor nahi ,
hil jayega singhasan inka ,
is tez k saath prahaar kare ,
aao bharat nirman kare ......


ye khel nai ab satta ka,
janta ko tumne jhangjhora hai,
jan jan se juti is himmat ka ,
gyaan tume bas thoda hai ,
ham janta hai ,ham takat hai ,
bhrashto ka ham sanghar kare,
aao bharat nirman kare .........


nav nirmit bharat me ham shanti ka deep jalayenge ,
bair dwesh ko door hata sab prem bhav se gayenge ,
sabke chehre pramudit honge,divya tez lalat chamkayega,
ek dooje ka haanth thaam ham aage badte jayenge ,
aise swarnim bharat ka ham ,apne hantho se shringaar kare,
aao bharat nirman kare ...........
aao bharat nirman kare .........

No comments:

Post a Comment