Wednesday 18 January 2012

SAFAR


Jeevan ek anjaan safar hai ,kat-ta hai kat jayega,
Kaal chakra k ghere me , jo ghatna hai ghat jayega,
Fisal gaya jo hanthon se ,tum dhund kabhi na paoge,
Palak jhapakne  ki deri me , sahil ojhal ho jayega,
Jeevan ek anjaan safar hai ……………                    

E-khwaab dekhne wale sun le , har khwaab tujhe sach karna hai ,
Uth kar apni neendo se tujhe, duniya me aage badna hai ,
Ek kadam bada tu himmat se,fir dekh jahan tera hoga,
Har taraf tu hi chaya hoga,ye gagan yahi jhuk jayega,
Jeevan ek anjaan safar hai………………

Apni adbhut chamta kit u, khud se to kabhi pehchaan kara,
Hai tujhme bhi kuch baat alag, tu kyu hai sabse door khada,
Tu sheesh utha kar dekh jahan ko, vishwaas bhari hunkar laga,
Fir dekh inhi kadmo se tu, manjil apni paa jayega,
Jeevan ek anjaan safar hai…………………..

Hai log agar vidrohi to , is dar se tu na thamna kabhi,
Takat teri bas tu khud hai, jeevan dhara ki reet yahi,
Khud se hi tu roshan hokar , rahon ko apni chamka,
Fir dekh khushi teri hogi , tera parcham lehrayega ,
Jeevan ek anjaan safar hai ………………………….

Mumkin hai teri rahon me , agdit mushkil pal ayenge,
Kuch haanth tere sehyogi honge,kuch dekar chot girayenge,
Hona hai wo jo tu chahega , jo tera man batlayega,
Asha se bhari tu pahal to kar , dushman bhi tera ho jayega,
Jeevan ek anjaan safar hai………………………….

Jo hansta hai use hansne de , hansne wale hai khoob khade,
In choti choti goonjon se , tu apne path par kyu na badhe,
Rakh nazar tu apni manzil par , rodo ki bhala kya hasti hai,
Tu khud ka atul samman to kar , hark anta pushp ban jayega ,
Jeevan ek anjaan safar hai…………………………….

Haan tune bhi hai janam liya, duniya ko ye batlana hai ,
Marna hi tera lakshya nahi , hare k ko ye samjhana hai ,
Tu aaya hai , tu jaayega , isse kuch to fark pade,
Tujhse goonjega nabh sara , dharti ka tal tharrayega,
Jeevan ek anjaan safar hai ……………………….

Tu aaj khada us bindu par , aage bas tu hi sathi hai ,
Na rukna hai , na jhukna hai , mat bhool ki tu apwadi hai ,
Tahas nahas ho rah bhale , kitne bhi andhere mod mile,
Yahi nishan hai ,isi raah par ,tu khud ko pa jayega ,
Tu khud ko paa jayega……
Jeevan ek anjaan safar hai …………


2 comments:

  1. Fisal gaya jo hanthon se ,tum dhund kabhi na paoge,
    Palak jhapakne ki deri me , sahil ojhal ho jayega,
    Jeevan ek anjaan safar hai......बहुत सुंदर रचना है आरोही जी ....बधाई...:)

    ReplyDelete
  2. :)) thank u maam sab aap logo ka ...aashirwaad hai..:))

    ReplyDelete