Wednesday 18 January 2012

SAUGAAT


Lo beet gaya ek or saal ,kuch khatti meethi yaad liye,
Hai khada sunehra jeevan aage, khushiyon ki saugaat liye,
Tum naam karo ,tum khoob bado,tum hi tum jag me cha jao,
Dukh ki na koi tasveer dikhe, khushiya tum sari paa jao ,
Ham liye khade hai thaal khushi ki , pyari si muskaan liye ,
Lo beet gaya ek or saal……………………….

Mushkil ho bhale rahen to kya , har haal ,e tu, badte rehna,
Parvat kitne bhi unche ho, har haal me tum chadte rehna,
Na rukna tum ,na jhukna tum ,himmat ka nahi aabhav rahe,
Har haal me chalna jeevan hai ,isme na kabhi thehraav rahe,
Hai haanth hamara sada sheesh par ,pyaar bhara  ehsaas liye,
Lo beet gaya ek or saal………………………

Ek samay tha jab haste gate the ,ham kood kood kar angan me,
Ladte , bhidte ro lete the , fir hanste the dooje pal me,
Vo beet gaya bhola bachpan,ham huye agrasar jeevan me,
Ho gai juda ab rahein hain,mai is path par ,tum us path me,
Fir bhi chamak raha ye bandhan ,mazbooti ki pehchaan liye,
Lo beet gaya ek or saal……………………

Aage jane kya hona hai, par dua yahi tum sukhi raho,
Raho jahan bhi is jag me, har haal me tum sampan raho ,
Har khushi tumhare pag choome ,phoolon sa mehke ye jeevan ,
Har jeet tumhari ho jaye , khushiyon se chehke ghar aangan ,
Ham wahi milenge,khade jahan hai, bhaiya phoolon ka haar liye,
Bhaiya phoolon ka haar liye,
Lo beet gaya ek or saal ,kuch khatti meethi yaad liye…….



No comments:

Post a Comment