Saturday 19 May 2012

MAA


 JANM K TERE SAATH HI ,ASTITVA NAYA JO PATI HAI ,
KILKARI SE TERI ,AANKHEIN JISKI BHAR JATI HAI  ,
 TERI SANSO KO SUNKAR, RAATE JISKI KAT JATI HAI,
TERE BHOLE CHEHRE KO PADKAR ,NIND JISE NA AATI HAI,
TERE SANG JANAM LETI HAI ,WO HI MAA KEHLATI HAI………

EK EK ANSH SE KHUD KE,JO POORA TUJHE BNATI HAI,
KHUD K HISSE KI SANSE DE  ,JO JEENA TUJHE SIKHATI HAI,
APNE RANG ROOP SE LEKAR ,JO TERA ROOP SAJATI HAI,
BADA K TUJHKO JEEVAN ME , JO KHUD DHOOMIL HO JATI HAI,
TERE LIYE HI JEETI HAI , WO HI MAA KEHLATI HAI………………..

AANE SE PEHLE KADMO KI ,AAHAT JISKO HO JATI HAI,
HAR EK CHEEKH PAR TERI, JAAN JISKI DHAK SE HO JATI HAI,
ROJ RAAT JO AANCHAL ME ,NIND DHER BHAR LAATI HAI,
BHOR BHAYE JO MANTHE KO,HANTHON SE SEHLATI HAI,
TERE SANG BADI HOTI HAI,WO HI MAA KEHLATAI HAI …………….

THAAM KE NAJUK HANTHON KO , RAHE JO BATLATI HAI,
NANHE NANHE KADMO KO ,BADNA JO SIKHLATI HAI ,
BHOLE BHALE BACHPAN KO, JO JEEVAN KA PATH PADATI HAI,
NAI KHULI IN ANKHON KO ,DUNIYA JO DIKHLATI HAI,
TERE SANG LADTI BIDTI HAI ,WO HI MA KEHLATI HAI……………

HAR DUKH ME TERE JEEVAN K ,AANKHE JISKI BHAR AATI HAI,
HAR EK JEET PAR TERI JO ,FOOL FOOL ITRATI HAI ,
DAANT DAPAT LE KITNA BHI ,FIR LEKAR THAAL MANATI HAI,
DHAR DHAR BAHA KAR ANSU, PYAAR BHARA MUSKATI HAI ,
TERE SANG HASTI ROTI HAI, WO HI MAA KEHLATI HAI ……………..

CHOOR CHOOR HO JANE PAR BHI, APNA FARZ NIBHATI HAI,
GHAR KI EK PUKAR PE JO,JHAT SE AAGE AA JATI HAI ,
ULJHAN KI REKHAO KO JO,RAKHKAR SABRA MITATI HAI,
DO BOL JO SUN LE PYAR BHARE ,SHARMA SI JO JATI HAI,
TERE SANG HI CHALTI HAI , WO HI MAA KEHLATI HAI……….

HAR EK CHOT PAR JEEVAN KI ,JO DEKAR HAANTH UTHATI HAI ,
UMRA KE HAR PADAV PE JO ,ANUBHAV SE SAMJHATI HAI ,
UMRA KE KITNE SAAL PAR BHI ,BACHHA TUJHKO HI PATI HAI ,
TERE SANG JEENA CHAHTI HAI, WO HI MAA KEHLATI HAI ………..

JISKE VISTRUT VISTAR KI , BAAT NAHI BANDG PATI HAI ,
JISKE BARE ME BOLE TO ,GHADI  WAHI THAM JATI HAI,
KHATTE MEETHE JEEVAN KI ,JO YAAD MAHAJ REH JATI HAI ,
LAKH BHULANE PAR BHI JISKI ,YAAD NAHI MIT PATI HAI,
TERE SANG MARNA CHATI HAI,WO HI MAA KEHLATI HAI …………..
WO HI MAA KEHLATI HAI …………….



1 comment:

  1. haa, maa aur kewal maa hi hai , dhara si gambheer , nadiya si khikhilati , koyal ki taan se meethi , prakriti ki sabse sunder kriti = maa .
    chahe manav bole pahli baar , ya pashu bole pahli baar , paxi ki awaz jo samzo , wo bhi bole pahli baar , maa - maaa - maaaa ,
    dukh ka marham - maa , dard ka ilaj - maa , anta : man ki khuski ka ahsas - maa , sirf - maa .

    ReplyDelete